Patjhad | Hinglish Kavita

Written by Nibraaz Quraishi

Patjhad Nibraaz Quraishi ki Kavita

About the poem: Is Hinglish Kavita mein Kavyitri patjhad se dar rahi hain, par kyun?

Ye kaisa besukooni, badmazgi sa sanata chaya huwa hai…
Musal-sal ye nigahain Daa’ain or Baa’ain taraf halkaan horahi hai,
kisi ka wajud ya kisi ka aks talaash kar rahi ho jaise,
Lekin Sab dhundla sa dikhai padta hai.
Daak – waale Chacha k saikel ki ghanti, Kausar Chachi ka Babloo ko zoor zoor se pukaarna,
Aur Ruksar ka yuhi humari taraf chale aana…
sab khamoosh hogaya hai. 
Aaj kal tho din hai ya raat, kuch pata hi nahi chalta. 
yeh jhadatey shehtoot k khushk pattey, tanz kartey hai mujhey. 
Bikhrey huwe Khwab ho jaise.
Meri tanhai iss khamoshi se tak rashk karti hai
isse tho phir bhi waadiyon ka saath hai…
Ammi ko lagta hai mai nadaan hu,
Ab unhey kya batau…
Mujhey patjhad se khauf hota hai, 
Mujhey tut jaane ka khauf aata hai
Naajaane yeh Bahar kab aayegi. 


Kaisi lagi aapko yeh Kavita ‘ Patjhad ’ jise likha hai kavyitri ‘Nibraaz Quraishi’ ne? Comment zaroor kar ke batayein.


Poetess ke baare mein aur jaanne ke liye padhein yahan: Nibraaz Quraishi


Padhein Nibraaz ki ek aur Poem jo hai English mein:

Solace: Those delicate emotions that one feels when they start falling in love, presented as delicately in this poem by Nibraaz.


Padhein Hinglish mein aur Kavitayein yahan:

  • Tumse Kuch Baat: Ye Kavita ek prem ka paigam hai ek premi ka apni premika ke liye.
  • Ek Sachchayi: Aage kya karna hai, kaise karna hai, sahi hai ya galat, kaise pata chalega? kuch aise hi pehluoon par hai Shashank Kumar ki waqt par yeh Kavita
  • Ek Ehsaas: Maa ek aisa shabd hai jise kitni bhi baar bol lo par uski ehmiyat kam nahi hoti. Maa ko bhagwan ka darza bhi diya gaya hai. Aisi hi Maa par hai Shashank Kumar ki yeh Kavita.
  • INDIANS: India aur Indians par yeh Kavita, India ke gunon aur visheshtaon se bharpoor hai.
  • Khuda: Kuch gehri guftugu chal rahi hai Khuda aur Kavi ke beech – padhiye uske kuch ansh is Kavita mein.

Agar aap bhi Kahaniyan ya Kavitayein likhte hain aur ek genuine platform dhoondh rahe hain apni rachnayon ko share karne ke liye aur saath mein apni growth ke liye to humein email bhejiye:  storiesdilse@gmail.com par. Ya phir apni Kahani ya Kavita humein bhej sakte hain yahan: https://storiesdilse.in/submit-your-stories-poems/


Photo by Erik Witsoe on Unsplash

 1,969 total views

Share on:

One thought on “

Patjhad | Hinglish Kavita

Written by Nibraaz Quraishi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *