Chapter 4 – wRonG tuRN

Just Unmarried | A Novel written by Vikas Bharti

Just Unmarried, Chapter 4 - Wrong Turn. Writer - Vikas Bharti

*Note: If you have not read the chapters before this, check them here

October aa gya. Main us din Mogga ke sath 4th bench par betha tha qki jb tak main class me aya Payla ne seat take over kr li thi. Mere piche bas Preeti Sherawat thi. Preeti kafi popular thi school me n uske chakkar me 8-10 ladke to pagal the. N 1st period k bad meri nazar achanak se piche gai n vahi par chipak gai. VINEETA vaha bethi thi. 10 sec k liye to main meri chasmis ko taad rha tha. Curly curly baal n vo aankhe, haaaaaaaaayeeeee!!!!!!!!!!!!!!!!

‘Sochta hu uska dil kabhi mujhpe aae to………….’

Us din maine soch liya tha ki chahe jo ho i will talk to her. N by luck mujhe ek khali period mil hi gya. N hum baat krne lge. N excitement me main use Vineeta ki jagah Sunita bol gya. N usne mujhe correct kiya. N uski voice aaj b yaad hai. “Mera naam VINEETA hai” aankhe dikhati hui vo mujhse boli.

“Yaar tu Bihar se hai?” maine pucha haste hue. Usne apni 11th class vahi se ki thi to hum sab ko lgta tha ki vo Bihar se hi hai.

“Nhi mera ghar yahi Faridabad main h. Mere Papa ka transfer Bihar me hua tha to hum vaha the and ab yaha ho gya h.” Aankho se aankhe milate hue vo boli.

Ek baat to Vineeta ki achi thi ki chahe vo kisi se  b baat kre vo nazro se nazar mila k baat krti hai. N mujhe yahi to chaiye tha. Actually main ek ladke k aatitude vali ladki hi chahta tha life me.

Dhire dhire hum baate krne lge, thanks to Shikha. No, she didn’t know about my crush on Vineeta. Main Vineeta ko Sunita hi kahta tha qki vo chid jati thi n mujhse ladti thi n isi bahane to hum baatein krte the.

Kuch din aur beet gae, tab ja k lga ki kam se kam use bta to du ki main use like krta hu. So I made my mind to tell her. Main shayad duniya ka sabse bada gadha tha ki main itni jaldi use propose krne k bare me soch rha tha.

 “yaar aaj kuch to krunga” maine bench pr sar rakh k sote hue Gaurav se dhire se bola. Adhi nind me Gaurav ko kuch samjh nhi aaya.

 “Gaurav mote, main use aaj offer marne ja rha hun.” Us mote ko gusa mar k jagaya n btaya.

“pagal h kya?? Neelima (princi) k pas chali jaegi” vo apne specs ko upar kar k apni aankhe malne lga.

“yaar jana h to jae. Shikha ko bolta hu vo use rok degi bahar.”

“kya baat h londe!!! Aaj to chori patayega” vo kamino vali smile kr rha tha. Gaurav hr ladki ko ek hi nazar se dekhta tha. Ghatiya nazar se.

Gaurav k pet me koi baat rhti kaha thi to usne bak di n galat tarike se bak di. Usne sab ko btaya ki Vineeta Vikas ko propose krne vali h. 3-4 ladko ne mujhse puch liya tb jake maine bola ki main propose kr rha hu vo nhi.

Chhutti ho gai n finally vo pal aa gya. Vineeta apni activa k pas khadi thi n tbhi m aur gaurav vaha aa gae. Shikha ne all the best kaha aur Gaurav ko le kr thoda dur chali gai.

Heart beat itni tej thi ki dil fat k bahar aa gya ho. Uske pas jate time badi ajib si feeling ho rhi thi.

“Vineeta, yr mujhe tujse baat krni h.”

“bol. Kya baat h?” vo apna bag active me rakhne lgi.

“yr I like you. I think more than a friend.”

Vineeta k face ka expression change ho gya. N mujhe laga ki ab thapad padega.

But aisa nhi hua. Thodi der chup rhne k bad vo boli.

“yr dekh meri life me aisi chizo ki koi jagah nhi h. hum friend h n friend rhnge.”

“k……”

Mujhe umid nhi thi but usne hath aage badhaya n maine hath milaya. Ye first positive sign tha mere liye. Aur uske baad m aur Gaurav vapis aa gae. But mujhe kya pta tha ki aur ladke b mujhe dekh rhe h.

Agle din puri class me hungama ho gya ki Vineeta aur Vikas ki chal rhi h jbki aisa kuch b nhi tha. N mujhe fir se ladko ko samjhana pada.

Hum normal school k bache the n normal bache propose karke baat nhi krte h. Aisa hi hua aur hum dono ki baate kam ho gai. 1 week k bad pata chala ki Vineeta k kisi cousin ki death ho gai h. Vo bohot udas thi us din but vo mujhse bol hi nhi rhi to kaise ja k baat krta. Ajib lag rha tha par kuch b nhi kr sakta tha.

1 mahine baad halat sudhri aur hum fir se baatein karne lage, thanks to Gaurav. N ab humara ek group sa ban gya tha. But gaurav kaha sudhrne vala tha n usne Vineeta ka naam use krke mujhe class me pareshan krne ka prank bnaya. Kuch dosto ki mahrbani se mujhe pta chal gya n then I was very angry.

Mujhe Gaurav k prank partner ka naam b pata chal gya, vo Aniket tha. N agli subah maine aniket ko class ki diwar pr chipaka diya.

“aaj k bad tune mujhe kbhi call kiya ya Vineeta ka naam b liya to dekhiyo aur Gaurav se b bol diyo ki mere aage na aae vrna mar dunga use.”

Class me tabhi class teacher aa gai. Usne tedhi nazar se  hume dekha n main class se bahar chala gya.

Ab life ka funda clear tha ki Gaurav n usse related kisi b jiv-jantu se dur rhna h aur jo faltu bole use teda kr dena h. Pr aisa ho na saka qki gaurav ko apni galti mahsus ho gai n vo baki friends se bolne lga ki main use maaf kr du.

“dekh Payla tujhe rhna h to rah uske sath but us se related koi baat mt kiya kr. Saale K.G. tu b.” main basketball ground me khada tha n K.G. n Payla mujhe Gaurav ki explanation de rhe the.

1 week ho gya tha mujhe Vineeta se baat kiye hue. Main andar se khud mar rha tha ki us se baat karu, but Gaurav uske aas pas bhatakta firta tha. N main Vineeta k aage nhi ladna chahta tha.

Hum kitna b apni kismet se dur bhage but vo humesha aage bhagti h. aisa hi mere sath hua.

CHEMISTRY LAB, 30th December, main aur Prem chemistry lab me khade the n humare left side ki desk pr Vineeta apna experiment kr rhi thi.

“ja na baat kr le” Prem desk pr chad kr beth gya.

main bina kuch bole experiment krne lga.

Ek jhalak Vineeta ko dekha aur fir experiment me lag gya. Fir ek jhalak, but usne b mujhe dekha n meri taraf aagai. ‘OMG, OMG,OMYYYYYYYYYYYY God…………..’ dil me kuch hua, sach me.

“q baat nhi krni hoti???” uske specs se vo aankhe mujhe ched rhi thi. N main gadho ki tarah experiment kr rha tha. But Vineeta bina javab liye jane valo me se nhi thi.

“yr mujhe Gaurav se problem thi aur tum sab usi k sath rhte ho to main dur hi thik hun.” Main uski aankho me dekh rha tha. Dil kr rha tha ki use apni dil ki baat bta du.

“yr but mujhse aisa behave to mat kr na.” uski baato me ek ajib se nami thi.

Uska udas chehra dekha nhi ja rha tha. “kal sham ko kya kr rhi ho?? Mere sath chalogi??” n maine date k liye puch liya.

“nhi. Main apni family valo k sath rhungi.” uske javab ka matlab ek hi tha ki bacchu itni jaldi nhi.

Mujhe green signal mil chuka tha Vineeta k side se. ab ‘I love you’ bolne ki bari thi.

1st January ko maine uske liye ek card liya jisme ek type se proposal tha ki meri life partner ban jao n next day pyar ka ikrar krne ka soch liya. But false alarm ki ghanti baj gai n vo next day nhi aai. Card to us tak pahunchana tha to meri nigahe Ritika pr gai. Na to main use pasand tha na vo mujhe, but kaam ho to gadhe ko b baap banana padta h.

“ye Vineeta ko de dena plzzzz” plz karne pr maine jor dala varna vo nhi manti.

Vo mujhe aise dekh rhi tthi jaise main use se arms smuggling krne ko bol rha hu. But pata nhi q usne mujhe ha kr diya. Ab mujhe bas javab ka intzar tha. But javab ki jagah kuch aur aya.


Read the next chapters here:
Chapter 5 – The D-Day
Chapter 6 – MISS DRAMA QUEEN 
Chapter 7 – 1 ANAAR 2 BIMAAR
Chapter 8 – World-cup Final
Chapter 9 – ItFu*K 

Read the previous chapters of this novel here: 

  1. Chapter 1 – BIKe 
  2. Chapter 2 -CRasH LANdINg
  3. Chapter 3 THE JUDGEMENT DAY

You can read more about the writer Vikas Bharti here.


PC: waldryano-309781

 1,044 total views

Share on:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *