*Note: If you have not read the chapters before this, check them here
Agar kuch khone ka ahsas na hota……..
To ye pyar na hota…..
M aur Gaurav ye jante the ki aaj ka din khatam hote-hote hum mein se koi hero and koi zero ho jaega. But Gaurav to in the end hero hi rahta. After all uske pas 2 ladkiya reserve me jo thi.
Hum kamino ne sach me toss kiya aur m jeet gya. Aur Gaurav kahi gumne nikal gya. But ye itna aasan nhi tha.
Shayad daanveer Karan k baad mera naam hi aata history me qki m vahi kaam krne ja rha tha. But Vineeta ka chehra dekha n socha bhad me gai dosti.Pahle pyar n baki sab bekar. Dil par ek patthar rakha vrna Vineeta k husn k toofan me ud jata.
Uske chehre se nazar ko hataya n niche apne gande se floaters ko dekhte hue bola “Please beech mein mat rokna. Gaurav ko ha bol do.”
“Yr m itna stable nhi hu life me, but vo h. M sacrifice nhi kr rha hu but m as a friend advice kr rha hu.”
Thodi der sab kuch shant ho gya. Fir vo katil nigahein mujh par uthi n usne kaha “Vikas main bohot confuse hu.”
“Apni aankhe band kr lo n faisla kr lo. Jiska chehra dikhe, usi ko chun lo.”
Main bhagwan par yakin bohot kam krta hu but m aur mera khuda hi janta h ki un 10 seconds me khuda ko 10 lakh bar yaad kiya hoga. Uski aankhein aise khuli jaise subah ho rhi ho. Ab bas mujhe mere khuda k faisle ka intezar tha.
“Maine tumhe dekha. I love you Vikas” bas lga ki mera dil bahar aa k mere hatho me dhadak rha ho.
“I love you too Vini.” agar mujhe khuda b mil jata to itni Khushi mahsus na hoti.
“Yr please aise mt dekho. Gaurav ko b bata dete h” now she was blushing.
Gaurav ko jaise hi Vineeta ne bola, uski aankho se tap tap aansu uske chehre par bah aae. Jab insaan apna pyar har jata h to bs uski aankhe dard ko bayan kr deti h.
Maine Vineeta ko pyar se bye kiya n Gaurav ka gam kam krne uske sath chala gya.
Kuch din aur Gaurav ka bhukh anshan chala n Vineeta ki ha na ha ka b drama chala. But finally 2nd march 2007 ko hum 2 jism 1 jaan ho gye. But but and but humari picture me aise U-turn aayenge mujhe kaha pata tha.
Read the next chapter of this novel online here:
Read the previous chapters of this novel online here:
- Chapter 1 – BIKe
- Chapter 2 -CRasH LANdINg
- Chapter 3 – THE JUDGEMENT DAY
- Chapter 4 – Wrong Turn
- Chapter 5 – The D-day
- Chapter 6 – MISS DRAMA QUEEN
- Chapter 7 – 1 ANAAR 2 BIMAAR
You can read more about the writer Vikas Bharti here.
PC: https://pixabay.com/users/TheUjulala-59978
662 total views