Chapter 3 – THE JUDGEMENT DAY

Just Unmarried | A Novel written by Vikas Bharti

Just Unmarried, Chapter 3 - The Judgement Day. Writer - Vikas Bharti

*Note: If you have not read the chapters before this, check them here

23rd April 2006, ise qyamat ka din kahte h, but vo khubsurat din kaise bhool skta hu jisne mujhe engineer banne par majbur kr diya. Prayer ho chuki thi n students class me aa gae the. Humari  class teacher Mrs. Seema Bansal attendence le rhi thi. Main 1st desk, door se second row me Pushkar k sath betha hua tha.

“May I come in ma’am?” ye words sunai diye n meri nazar gate par gai.

Khuda ki inayat mujh kameene pr hui n ek lambi ladki, matlab class ki baki ladkiyo se lambi ek ladki class me aai n yellow top with blue jeans n uske right side ek blue color ka bag tha.

Puri class use dekh rhi thi, isliye nahi ki vo jannat ki pari thi, vo to ek naye chahre ko dekh jo rhe the.

Haye vo aankhe!!!!!!( uske chasme se vo aankhe dikh rhi thi), thodi anjan but itni tez aur confidence se bhari hui, deep tak jane vali.

Seema ma’am aur usme kuch baatein hui. main use dekh rha tha, she was different. Vo ek normal ladki ki tarah thi but mere liye vo kuch special thi, matlab ye nhi tha ki mujhe use dekhte hi pyar ho gya tha. But ye kuch to tha, may be attraction kah sakte h. Vo right side ke first bench pr beth gai n class normal tarike se shuru ho gai. But meri aankhe usi pr lgi thi. Pura din main use ghurta rha.

‘ha, ha…… ha main use ghur rha tha’. But I was lucky ki kisi ko pta nhi chala.

Chutti ho gai n main cycle pr bahr uske niklne ka wait kr rha tha, but vo nhi dikhi to main ghar ki aur chal diya. Cycle chalate chalate b main uske bare me soch rha tha. Pura din mujhe vo lambi ladki tang krti rhi. N then Sahdev n Nadeem(friends) se mil k bhi main use bhool nhi paya. Raat hote hote maine khud ko samjha liya tha ki vo attraction hi h aur kuch nhi. N Main so gya.

2-3 din me to us ladki ka khayal bhi dimag se chala gya tha. Kuch dino ke baad main is baat ko mzak me lene lg gya tha. Class attendance se mujhe uska naam pta chala, VINEETA SINGH. But mujhe ab fark nhi padta tha qki pahle hi pange kum thodi na the life me ki main use bhi ghasit lu. But may test ke bad sab use jaan gaye qki usne top kiya tha hmari class me. May me hi mujhe kai new friends mile Gaurav, Mahesh, Rahul Mogha……………………. etc.

June me meri didi ki shadi ho gai n trust me I was really happy with that. July me maine fir se Vineeta ko dekha, vo aur jyada khubsurat lag rhi thi. Aankhe 2 inch aur fat k bahar aa gai thi.

‘usne fir top mar diya’ maine gaurav se kaha. Hmara xam result aa gya tha.

‘yaar dekh mujhe to I.P. me fail kr diya saali ne’ gaurav apne sade se expression se mujhse bola.

‘yaar mere to just 43% h, but main pass hu completely’ maine ye bolte hue has diya.

Gaurav chid kr K.G. (Kumar Gaurav) k pas chala gya fir se shikayat krne ke liye about his marks.

August gya and September aa gya but main apni padhai n ladai me busy tha. Main school time se hi thoda boxing se attach rha tha to ladna bhidna meri speciality thi.

Ab tak main apna school enjoy krne lga tha. Padhai me b main acha krne lga tha aur school me b log mujhe janne lge the khas kr ladkiya. Shikha Pandit, Ritika, Parul, Preeti…………………..etc n ek junior b. Shalini meri junior thi high school se. n August me hi usne mujhe propose kiya tha n maine badi bedardi se ‘NO’ kaha tha.

N September me hi mujhe news mili ki Monika is dead. N it was shocking for me n main khud ko samjha nhi pa rha tha ki uski death meri vajh se nhi hui. Prem ne class me hum teeno(me, Prem, Monika) ki pic dikha k mujhe aur senti kr diya tha. Waqt lga thoda sa aur main use bhool gya.

Par mujhe kya pta tha ki ek ladki ki jaan lene ke bad main ek aur ladki ki zindgi barbad krne jar ha tha. Agar mujhe zra sa b idea hota to main aisa bilkul b nhi krta, in fact us se bilkul dur rhta. But hum jitna apni destiny se dur hona chahe vo har life ke har cut par mil hi jati h. Ab ise mera good luck kaho ya uska bad luck ki hum mil hi gae n life badal gai.


Read the next chapters here:
Chapter 4 – Wrong Turn
Chapter 5 – The D-day
Chapter 6 – MISS DRAMA QUEEN
Chapter 7 – 1 ANAAR 2 BIMAAR
Chapter 8 – World-cup Final
Chapter 9 – ItFu*K 

Read the previous chapters of this novel here: 

  1. Chapter 1 – BIKe 
  2. Chapter 2 -CRasH LANdINg

You can read more about the writer Vikas Bharti here.


PC: QuinceCreative-1031690

 1,146 total views

Share on:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *