*Note: If you have not read the chapters before this, check them here
3rd January 2007, maine abhi tak use new year wish nhi kiya tha. N vo finally class me aa gai, but lunch tak kuch b na boli, n meri fat rhi ki jane kya hoga. Lunch k bad humara pura group last benches pr shift ho chuka tha. N maine Ritika se pucha ki kya hua. Usne bataya ki usne card Vineeta ko de diya h. Vineeta ne vo dekh b liya tha.
Meri itni fat rhi thi ki jaise m suicide bomber hu n mujhe ab fatna h. then Vineeta ne Ritika se seat exchange ki aur meri taraf aa gai.
“Vikas, ye kya h? mujhe in sab baato se nafrat h. N agar meri family ko pata chal jata to???” gusse se pahli bar usne mujhe dekha. Kasam se kah rha hu ki bangalan chori lag rhi thi tab to.
“I’m sorry. Meri intention galat nhi thi yr.” main thodi apology ki condition me aa gya tha.
Usne card vapis krne ki koshish ki, but mujhe vo vapis nhi chahiye tha to main aage uth kr Pushkar k pas chala gya.
But Vineeta Singh se bachna muskil hi nhi namumkin tha. Last period Mathematics ka tha n meri favourite teacher, Mrs. Rachna class me thi. class khatam hone me 2-3 minutes the, tabhi vineeta piche se uth kr mere piche vale bench pr aa gai aur mere hath me card pakda diya.
“Vikas ye card vapis le lo.”
“Mujhe nhi chahiye. Lena ho to lo varna fad do”
Usne bench k bich me se vo card mujhe vapis de diya.
Mujhe pata nhi kya hua aur main khada ho gya n card hath me liya aur use 3 bar fold kr kr k fada aur vineeta k hath me pakada diya. Puri class mujhe n Vineeta ko dekh rhi thi. maine beg uthaya aur class se bahar chala gya n Computer Lab me ja kr beth gya. 2 minute me Pushkar n dn Shikha with Vineeta Singh b vaha prakat ho gai.
“yr vo bohot upset h. usse ja kr baat kr le.” Shikha ne mujhe samjhaya n main Shikha ko mana nhi krta tha.
Puri Lab khali thi n Vineeta teachers desk k aage bethi thi. mujhe pas aata dekh vo khadi ho gai n vo bohot gusse me thi.
“tum apne aapko kya samjhte ho??” uski baat me question kam doubt jyada tha.
Ab gussa krne ki bari meri thi. Maine gusse me use dekha n uski traf finger point krte hue aage badha.
“what the hell do you think of yourself?? don’t u get it damn it??? I LOVE YOU DAMN IT……… aaj tak kisi ladki ko kuch nhi diya. Tum pahli ho jise pyar se kuch diya. Tum pahli ho jise main apni life me chahta hu. Aaj tak kisi ladki ko nhi dekha palat k but tume dekha. Aur tum ho ki samjhti hi nhi ho.” Puri baat me maine saas b nhi li thi, to in the end lambi saas k sath maine khud ko Ms. Singh k samne surrender kr diya.
2 minute k liye sab kuch shant ho gya. Maine mud k dekha, Pushkar n Shikha has rhe the n Vineeta aise khadi thi jaise vo coma me chali gai ho. Shikha n Pushkar ka muh khul gya tha n vo mujhe dekh rhe the.
“dekho Vikas, hum dost…”
“but main dost se upar chahta hu………. N I love u” maine bich me hi use rokte hue bola.
“Main aisi nhi hu, n main janti hu ki future me b kuch nhi hone vala”
“But ek chance to de hi sakte h” convincing to main bachpan se hi tha.
Hum log usi teachers desk pr bethe n baatein krne lage. N still she was in shock that actually someone purposed her. N main use pyar se dekh rha tha. Usne mujhse Gaurav ko maaf krne ka bola n main use mana nhi kr paya. Yr jab itni cute ladki kuch bole to aap na nhi kr pate.
Then Gaurav ko Shikha ne bulaya n maine use maaf kr diya. Ab sab kuch normal ho gya tha, but thode dino k liye hi.
Vo pura week n next week hum dono aur karib aa gae, but uski family side se qki vo humesha apni family n papa k bare me hi batati rhti thi n main confuse ho jata tha uke khandan me. Main uske khandan ka family tree banane ki soch rha tha ki taki kam se kam pata to chale ki vo kis k bare me baat kr rhi h. Mere pas batane layak kuch tha nhi qki meri family bohot choti thi n mujhe chod k sab normal the. Vaise b main jyada bolta b nhi tha to main aram se usi ki baat sunta tha.
But Vineeta ne har bar clearly bol diya tha ki humare bich me kuch nhi ho sakta, n main ye baat samjhne laga tha.
17th January ko maine khud ko samjhaya ki main ab us se baat nhi karunga qki jab kuch ho nhi sakta to main uski problem ko yahi khatam kr du.
But uski problem khtam hone ki vajh badh gai. N us din hi mujhe pata chala ki uski life me meri b jagah h.
Us din class me total 7 log the qki school valo ne board exams k liye off de diya tha. Vineeta mere bench k piche aa kr beth gai. Vo bar bar mujhse bol rhi thi aur main chemistry me ghusa pada tha.
“Vikas kya hua h??? Mujhse baat nhi krni h kya??”
Main chup rha aur vo piche chali gai n bench pr sar rakh k so gai.
Shikha aai n usne mujhe bola ki vo ro rhi h. Dil me kuch ajib sa lga aur main uske pas gya. Vo bench pr sar rakh k bethi thi. Mere pas bethne k ahsas se vo aansu chupa rhi thi. Main use uthane ki koshish ki bt vo nhi uthi. Mujhe forcefully use uthane ki koshish krni padi. Tabhi usne palat k meri taraf dekha aur uske us masum chehre ko dekh kr mere pyar k sare kabutar ud gaye. Ek kabutar ko to usne apni aankh k nisane pr liya aur kabutar zamin pr lahuluhan tha. Vo kabutar mera dil tha. Pahli bar is tarah dil ko mahsus kiya. Left side kuch teji se dhadak rha. Mera bina hadi ka dil meri hadiya tod k bahar aane ko bekkrar tha. kuch titliya si ud rhi thi mere andar. Shayad ye duniya me ye aisa accident h jo hr insan apni zindgi me chahta h. Maine use chup krvaya n fir pucha ki kya hua. Kisi javab ki talash me mujhe ek saval usi ne pakda diya.
“tumhe kya hua h??” vo apne aansu pochte hue mujhse boli.
“yr humara koi future nhi h to ise abhi khatam krte h.” mujhe 2-3 minute lage himmat juta k use javab dene me.
“tumhe kaise pata ki humara koi future nhi h. Ho b to sakta h.”
Ye bolte hue usne sar mere kandhe par rakh diya. Lag rha tha ki main sapne me hu. Khud ko kisi tarike se samjhaya n uske kandhe pr hath rakh diya.
Mujhe hath rakhe hue 10 second b nhi hue the ki perfect timimg k sath humari classs teacher Seema Ma’am aa gai n hume aise dekha jaise ki pata nhi kya kr rhe the. Her eyes were going to pop outside from her skull. Vineeta aur main apne aapko sambhalne lage. But Ma’am ne kuch nhi bola aur class se chali gai thodi der me. Hum has diye aur aage Shikha n Gaurav k pas chale gae. Aur usi din Shikha ne Gaurav ko propose kr diya. But Gaurav ne time manga sochne k liye.
School khatam hua aur main aur Vineeta gate k bahar b baat krne me lage the. Humara bas chalta to shayad hum vahi chipke rahte but Gaurav aur Shikha b humari vajh se khade the to ghar jana pada majburi me.
Ab humari dosti aage badh rhi thi pyar k track pr. But jab tak vo ha nhi krti tab tak ye pyar onesided tha.
Mere birthday par Vineeta ka msg aaya raat me 10 baje. I never told her about my bday but use pata chal gya. Acha laga, bohot acha.
Kuch to h is duniya me jo sab kuch set krta h. Vo apko ache-bure sab logo se milvata h aur vahi log apko aage le jate h. Ache to aa gae the par ab bure ki bari h.
Read the previous chapters of this novel here:
- Chapter 1 – BIKe
- Chapter 2 -CRasH LANdINg
- Chapter 3 – THE JUDGEMENT DAY
- Chapter 4 – Wrong Turn
- Chapter 5 – The D-day
Read the next chapters here:
Chapter 6 – MISS DRAMA QUEEN
Chapter 7 – 1 ANAAR 2 BIMAAR
Chapter 8 – World-cup Final
Chapter 9 – ItFu*K
You can read more about the writer Vikas Bharti here.
991 total views